Kalams Page

Jab Wo Safar Par Jaya Karte

Poet: Anwar Masood | Book: Unknown | Type: Naat

Jab Wo Safar Par Jaya Karte


Jab wo safar par jaya karte
Sar par badal saya karte

Un ka naam labon par aaye
Meetha meetha munh ho jaye

Un ke bol baharon jaise
Aur ashab sitaron jaise

Un sa pyara aur na koi
Un se bichhad kar lakdi royi

Un ki zaat ik shehr nirala
Ilm us shehr ka rehne wala

Kaise log the makke wale
Rooh ke andhe dil ke kaale

Ras na aaya unhein ujala
Chaand ko shehr badar kar dala

Jis banaye chaand sitare
Roshniyon ke chashme saare

Us ne unhein pasand kiya hai
Un ka zikr buland kiya hai

Sadiq aur Amin wohi hain
Taha aur Yasin wohi hain

Moula ki pehchan wohi hain
Sab se bade insaan wohi hain

Woh mehmaan arsh e mualla
Shaan e Muhammad Allah Allah

Rehmat un ki alam alam
Sallallahu alaihi wa sallam