Jab Pukara Gaya Ya Aliؓ Ya Aliؓ
Jab Pukara Gaya Ya Aliؓ Ya Aliؓ
Jab pukara gaya Ya Aliؓ Ya Aliؓ
Khatm hone lagi be-kali Ya Aliؓ
Tera mad-e muqabil gaya jaan se
Teri talwaar jab bhi chali Ya Aliؓ
Faiz paaye ga woh aap ke naam se
Jis ki taqdeer ho gi bhali Ya Aliؓ
Sab ko rutba mila tere darbaar se
Tera mamnoon hai har wali Ya Aliؓ
Aap ki chahtain har taraf, har nagar
Qariya qariya gali dur gali Ya Aliؓ
Jis ghari aapؓ aaye gulistan mein
Muskurane lagi har kali Ya Aliؓ
Dekhna bhi ibadat hai chehra tiraؓ
Hai ye farmaan-e aqaؐ, jali Ya Aliؓ
Tere dushman ke chehre pe ae Murtazaؓ
Rab Ta’ala ne kaalak mali Ya Aliؓ