Jab Mujhe Husn-e-Iltimaas Mila
Jab Mujhe Husn-e-iltimaas Mila
Jab mujhe husn-e-iltimaas mila
Tera faizaan be qiyaas mila
Teri rehmat tarap tarap uthi
Jab kahin koi bhi udaas mila
Jab bhi Kaaba dhoondhna chaaha
Tere qadmon ke aas paas mila
Teri tauseef Rab pe chhodi hai
Bas wohi martaba shanaas mila
Yun badan mein salaam lehraya
Jaise Kausar ka ik gilaas mila
Tujh se woh subah-e-jaawidaan aayi
Mujh ko bhi noor ka libaas mila