Kalams Page

Jaan Aabru-e-Deen Pe Fida Ho To Baat Hai

Poet: Hafeez Taib | Book: Kuliyat-e-Hafeez Taib | Type: Naat

Jaan Aabru-e-Deen Pe Fida Ho To Baat Hai


Jaan aabru-e-deen pe fida ho to baat hai
Haq ishq-e-Mustafaؐ ka ada ho to baat hai

Har lahza dil mein yaad-e-Rasoolؐ-e-INaam ho
Har dam labon pe sall-e-Ala ho to baat hai

Sarkarؐ ki raza mein hai Allah ki raza
Har dam raza Rasoolؐ ki chaho to baat hai

Deti hai ye payaam hawa-e-diyar-e-paak
Ishq-e-Nabiؐ amal ki bina ho to baat hai

Har manzil-e-hayat mein paish-e-nigaah-e-shauq
Irshaad-e-Khwajaؐ dosra ho to baat hai

Khayr ul umam ki shaan se hum sab hain sarfaraz
Insaaniyat ka hum se bhala ho to baat hai