Izne Tayyiba Mujhe Sarkar-e-madina De Do
Izne Tayyiba Mujhe Sarkar-e-madina De Do
Izne tayyiba mujhe sarkar-e-madina de do
Le chale mujhe wo tayyiba safina de do
Yaad-e-tayyiba mein tarapne ka qareena de do
Chashm-e-tar, soz-e-jigar shah-e-madina de do
Phoonk de jo meri khushiyon ka nasheman aaqa
Chak dil, chak jigar sozish-e-seena de do
Char yaaron ka tumhein waasta deta hoon sheha!
Apna gham mujhe shahenshah-e-madina de do
Waqt-e-aakhir hai chali jaan rasool-e-akram
Ek jhalak aye mere sultan-e-madina de do
Sadqa shehzadi-e-kownein ka qadamoun mein maut
Mujhe de do mere sultan-e-madina de do
Kasrat-e-maal ki aafat se bacha kar aaqa
Apne attar ko ulfat ka khazeena de do