Islam ! Teri Shan, Mera Maula Ali Hai
Islam ! Teri Shan, Mera Maula Ali Hai
Islam ! teri shan, mera Maula Ali hai
Imaan ! teri jaan, mera Maula Ali hai
Sarkar do alam ka ye farmaan hai shahid
Imaan ki pehchaan, mera Maula Ali hai
Woh jis pe nazar kardein wilayat hai usi ki
Walion ka woh Sultan, mera Maula Ali hai
"Al-Nazar Ila Wajh Ali, thehri Ibadat"
Kis darja woh Zeeshan, mera Maula Ali hai
Hijrat ki ajab raat hai bister pe Nabi ke
Soya hua mehmaan, mera Maula Ali hai
Qatil ko tawazu mein pilata hai jo sharbat
Woh aik hi Insaan, mera Maula Ali hai
Darein mein aqa ne 'Aqi' jis ko banaya
Woh khasa-e-khasan, mera Maula Ali hai
Lajpal hai itna ke Muhibeen ke har dam
Har dard ka darman, mera Maula Ali hai
Jis par hain Jaleel apne dil o jaan bhi qurban
Woh Sahib-e-Imaan, mera Maula Ali hai