Ishq E Mola Mein Ho Khoon Bar E Kenar E Daman
Ishq E Mola Mein Ho Khoon Bar E Kenar E Daman
Ishq e Mola mein ho khoon bar e kenar e daman
Ya Khuda jald kahien aaye bahar e daman
Beh chali aankh bhi ashkon ki tarah daman par
Ke nahi taar e nazar juz do seh taar e daman
Ashk barsaaoon chale koocha e jana se naseem
Ya Khuda jald kahien niklay bukhaar e daman
Dil shudo ka ye hua daman e athar pe hujoom
Be dil aabad hua naam e deyar e daman
Mushk sa zulf shah o noor fishaan roo e huzoor
Allah Allah halab e jeeb o teda(r) e daman
Tujh se ae gul mein sitam deedah e dasht e hirmaan
Khalish dil ki kahoon ya gham e khaar e daman
Aks afgan hai hilaal e lab e shah jeeb nahi
Mehr aariz ki shuaain hain na taar e daman
Ashk kehte hain ye shedaai ki aankhein dhho kar
Ae adab gard e nazar ho na ghubaar e daman
Ae Raza aah woh bulbul ke nazar mein jis ki
Jalwa e jeeb gul aaye na bahaar e daman