Is Qadar Kaun Mohabbat Ka Sila Deta Hai
Is Qadar Kaun Mohabbat Ka Sila Deta Hai
Is qadar kaun mohabbat ka sila deta hai
Us ka banda hoon jo banday ko Khuda deta hai
Jab utarti hai meri rooh mein azmat us ki
Mujh ko masjood malaa’ik ka bana deta hai
Rehnumaee ke yeh tewar hain ke mujh mein bas kar
Woh mujhe mere hi johar ka pata deta hai
Us ke irshaad se mujh par mere asraar khulay
Ke woh har lafz mein aaeena dikha deta hai
Zulmat-e-dehr mein jab bhi main pukaaroon us ko
Woh mere qalb ki qandeel jala deta hai
Us ki rehmat ki bhala aakhri hadd kya ho gi
Dost ki tarah jo dushman ko duaa deta hai
Wohi nimtay ga meri fikr ke sanaton se
But-kadon ko jo azaanon se basa deta hai
Wohi sarsabz kare ga mere veerano ko
Aandhiyon ko bhi jo kirdaar-e-saba deta hai
Fun ki takhleeq ke lamhon mein, tasawwur us ka
Roshni mere khayalon mein mila deta hai
Qasr o aiwan se guzar jata hai chup chaap nadeem
Dar-e-Mohammad ka jab aaye to sada deta hai