Kalams Page

Is Karam Ka Karun Shukar Kese Ada Jo Karam Mujh Pe Mere Nabiﷺ Kar Diya

Poet: Abdul Sattar Niazi | Book: Kuliyat-e-Niazi | Type: Naat

Is Karam Ka Karun Shukar Kese Ada Jo Karam Mujh Pe Mere Nabiﷺ Kar Diya


Is karam ka karun shukar kese ada jo karam mujh pe mere Nabiﷺ kar diya
Main sajata tha Sarkar ki mehfilein mujh ko har gham se Rab ne bari kar diya

Zikr-e-Sarkar ki hain badi barkatein mil gain raahatein azmatein rifaatein
Main gunahgaar tha be amal tha magar Mustafaﷺ ne mujhe jannati kar diya

Lamhah lamhah hai mujh par Nabiﷺ ki ata dosto aur maangun mein Maula se kya
Kya ye kam hai ke mere Khuda ne mujhe apne Mehboob ka ummati kar diya

Jo bhi aaya hai mehfil mein Sarkar ki haazri mil gayi jis ko darbaar ki
Koi Siddique Farooq Usman hua aur kisi ko Nabiﷺ ne Ali kar diya

Jo dar-e-Mustafa ke gada ho gaye dekhte dekhte kya se kya ho gaye
Aisi chashm-e-karam ki hai Sarkar ne donon alam mein un ko ghani kar diya

Koi Mayoos lota na darbaar se jo bhi manga mila meri Sarkar se
Siddque jaaun Niazi mein Lajpal ke har gada ko sakhi ne sakhi kar diya