Is Aaftaab Rukh Se Agar Hon Do Chaar Phool
Is Aaftaab Rukh Se Agar Hon Do Chaar Phool
Is aaftaab rukh se agar hon do chaar phool
Harba hon rang badlein abhi bar bar phool
Daman mein hain liye huye mehr nisar Shah
Shabnam se seenkron gaahar aabdaar phool
Saeyqalgir chaman ho jo is ki hawae luTf
Phir bulbulon se dil mein na rakhein ghubaar phool
Allah re laTafat tan jis se maang kar
Pehne hue hain peerahan masta'ar phool
Dastaar par agar woh gul kfash turma ho
Khurshid aasmaan pe karen iftikhar phool
Allah ne diya hai yeh is ko jamaal paak
Sunbal fida hai zulf pe rukh par nisaar phool
Allah kya dahan hai ke baatein hain mo'jza
Hote hain ek ghuncha se peda hazaar phool
Woh chehra woh dahan ke fida jin pe keejiy
Sattar hazaar gunchay behtar zaaar phool
Ummat ka bojh pusht pe apne uTha liya
Taaqat ki baat hai ke bana kohsaar phool
Yeh faez tha isi ka ke haq mein Khaleel ke
Akhgar huye tamaam dam iztiraar phool
Adnaa yeh mo'jza tha ke ek chob khushk mein
Pattay lage hazaar phal aaye hazaar phool
Ya Shah-e-deen hain teri inaayat se faizyaab
Jitne hain ronak chaman rozgaar phool
Ummat pe waqf bagh-e-shafa'at hai aap ka
Mujh ko bhi is chaman se inaayat hon chaar phool
Waqt-e-dua hai haath dua ko uThaa Ameer
Jab tak khulein chaman mein sar-e-shaakhsaara phool
Ghunchay ki tarah aapke dushman girifta dil
Khandan ho dost jaise ke roz-e-bahaar phool