In Ke Andaaz-e-karam Un Pe Wo Aana Dil Ka
In Ke Andaaz-e-karam Un Pe Wo Aana Dil Ka
In ke andaaz-e-karam un pe wo aana dil ka
Haaye wo waqt wo baatein wo zamana dil ka
Na suna us ne tawajju se fasana dil ka
Zindagi guzri magar dard na jaana dil ka
Kuch nai baat nahi husn pe aana dil ka
Mashghala hai ye nihayat hi purana dil ka
Wo mohabbat ki shuruaat wo be thaah khushi
Dekh kar un ko wo phoolay na samaana dil ka
Dil lagi dil ki lagi ban ke mita deti hai
Rok dushman ko bhi ya Rab na lagana dil ka
Hue to mere muqaddar ko bigaara us ne
Aur phir us pe ghazab hans ke banaana dil ka
Mere pehlu me nahi aap ki muthi hain nahi
Be thikane hai bohot din se thikana dil ka
Wo bhi apne na hue dil bhi gaya haathon se
Aise aanay se to behtar tha na aana dil ka
Khoob hain aap bohot khoob magar yaad rahe
Zeeb deta nahi aison ko satana dil ka
Be jhijhak aa ke milo hans ke milao aankhen
Aao hum tum ko sikhate hain milaana dil ka
Naqsh bar aab nahi vehm nahi khwab nahi
Aap kyun khel samajhte hain mitaana dil ka
Hasratein khaak huein mit gaye armaan saare
Lut gaya koocha-e-jaanaan mein khazana dil ka
Le chala hai mere pehlu se basad shauq koi
Ab to mumkin nahi laut ke aana dil ka
In ki mehfil mein Naseer un ke tabassum ki qasam
Dekhte reh gaye hum haath se jaana dil ka