In Ka Dar Choomne Ka Sila Mil Gaya
In Ka Dar Choomne Ka Sila Mil Gaya
In ka dar choomne ka sila mil gaya
Sar uthaya to mujh ko Khuda mil gaya
Aasion ko bara martaba mil gaya
Hashr mein daaman Mustafaﷺ mil gaya
Un khajuron ke jhurmat mein kya mil gaya
Baagh khuld bareen ka pata mil gaya
Jis ko tayyaba ki thandi hawa mil gayi
Bas usay zindagi ka maza mil gaya
Madhat-e-Mustafaﷺ ka yeh ehsaan hai
Mera Hassan se silsila mil gaya
Kuch na poocho ke main kaise baikal hua
Mujh ko kamli mein noor-e-Khuda mil gaya