Kalams Page

Ilm Muhammad ﷺ Adal Muhammad ﷺ Pyara Muhammad ﷺ

Poet: Muzaffar Warisi | Book: Noor-e-Azal | Type: Naat

Ilm Muhammad ﷺ Adal Muhammad ﷺ Pyara Muhammad ﷺ


Ilm Muhammad ﷺ Adal Muhammad ﷺ Pyara Muhammad ﷺ
Saari Aala Qadron Ka Shahkar Muhammad ﷺ

Hum Ijmali Kya Jayen Tafseel Mein Un Ki
Kya Duniya Kya Uqba Sab Taveel Mein Un Ki
Waqt Ke Beech Muhammad ﷺ, Waqt Ke Paar Muhammad ﷺ

Sooraj Chaand Sitare Un Ke Zair Saiya
Jo Un Tak Pohncha Wo Roshnian Le Aaya
Baanten Kya Kya Chamkeele Kirdar Muhammad ﷺ

Bandon Se Kya Hon Gi Tehqiqat Khuda Ki
Masjid Hasti Ka Raqba Hai Zaat Khuda Ki
Saare Paighambar Mehrabain, Minar Muhammad ﷺ

Dhoop Gunahon Ki Bhi Saiya Daar Hai Kitni
Meri Darveshi Sarmaya Daar Hai Kitni
Mere Lab Par Aaya Lakhon Baar Muhammad ﷺ

Apni Apni Tehzeeben Sab Bhool Chuke Hain
Sab Pathar Ke Ehad Ki Janib Laut Rahe Hain
Duniya Ki Har Qoum Ko Hain Darkar Muhammad ﷺ

Apni Khaas Inayat Sirf Bhi Farmate Hain
Khud Us Ki Tosee Zarf Bhi Farmate Hain
Ishq Jise Dete Hain Be Miqdar Muhammad ﷺ

Kyun Na Muzaffar Mere Paon Pare Khush Bakhti
Meri Gardan Mein Bas Un Ke Naam Ki Takhti
Meri Sab Khushiyan Saare Tehwar Muhammad ﷺ