Ilm Ke Shehar Ka Darwaza Ka'ba Ki Deewar Ali
Ilm Ke Shehar Ka Darwaza Ka'ba Ki Deewar Ali
Ilm ke shehar ka darwaza Ka'ba ki deewar Ali
Darya-e-la ilaha illAllah ke idhar Ali, us paar Ali
Qafla'e jurrat ka gajjar, aik akela bhi lashkar
Allah ke pyare ki sipar Allah ki talwar Ali
Manbar Ali azaan Ahmed (ﷺ), rehl Ali Qur'an Ahmed (ﷺ)
Mukhtar Yazdaan Ahmed (ﷺ), Ahmed (ﷺ) ka mukhtar Ali
Taaj shahi pa-poush Nabi (ﷺ) qurb-e-khuda aaghosh Nabi (ﷺ)
Takht do-aalam dosh Nabi (ﷺ), dosh Nabi (ﷺ) ka sawaar Ali
Qatra qatra usay peeoon aur samandar kehlan
Mere ishq shumaare ki qistain silsila war Ali
Hanfiyat ka main baalak ahl-e-bait ka le paalak
Ali ka haajat mand hoon main mujh ko hai darkar Ali
Jab aansoo mashal ho jaayein shangein Maktal ho jaayein
Rooh ke registaano par barse mousla dhar Ali
Mera harf istidlal hubb-e-Ali se maala maal
Daaloon us ke gird dhamal main parkar, madar Ali
Sajda roshan jabeen lagoon sheesha ain al-yaqeen lagoon
Main bhi kitna haseen lagoon mera haar singhaar Ali
Sikka jaan chal jaaye agar us se khareedo aik nazar
Meri jeb main theekriyaan, heeron ka bazaar Ali
Us ko jitni baar parha us ki taraf kuch aur barha
Ab ye Muzaffar Alam hai sog Ali tehwaar Ali