Ilahi Hamd Se Aajiz Hai Ye Sara Jahan Tera
Ilahi Hamd Se Aajiz Hai Ye Sara Jahan Tera
Ilahi hamd se aajiz hai ye sara jahan tera
Jahan walon se keun kar ho sake zikar o bayaan tera
Zameen o aasman ke zarre zarre mein tere jalwe
Nigaahon ne jidhar dekha nazar aaya nishaan tera
Thikana har jagah tera samajhte hain jahan wale
Samajh mein aa nahi sakta thikana hai kahan tera
Tera mehboob paighambar teri azmat se waqif hai
Ke sab nabiyon mein tanha hai wohi ek raazdan tera
Jahan-e-rang o boo ki wus'aton ka raazdan tu hai
Na koi humsafar tera na koi kaarwaan tera
Teri zaat-e-mualla aakhri tareef ke laayak
Chaman ka patta patta roz o shab hai naghma khwaan tera