Kalams Page

Ilaahi Rozah-e-Khair-Ul-Bashr Par Main Agar Jaaun

Poet: Mufti Khalil Ahmad Khalil | Book: Unknown | Type: Naat

Ilaahi Rozah-e-Khair-Ul-Bashr Par Main Agar Jaaun


Ilaahi rozah-e-khair-ul-bashr par main agar jaaun
To aik sajdah karun aisa ke aapay se guzar jaaun

Nijaat-e-aakhrat ka is qadr saamaan kar jaaun
Ke Taiba jaake aik sajdah karun sajde mein mar jaaun

Madinay janay walay sir ke bal jatay hain janay do
Mere qismat mein jo jaana to barang-e-digar jaaun

Ura don sab se pehle taair-e-jaan us taraf apna
Sahare se usi taair ke phir be-baal-o-par jaaun

Kabhi rodzay se minbar tak kabhi minbar se rodzay tak
Idhar jaaun udhar jaaun usi haalat mein mar jaaun

Saghaan-e-koocha-e-dildar ki paiham balayein loon
Tamasha ban ke reh jaaun Madinay mein jidhar jaaun

Main kuchh darr-e-shafaat leke loutun chashm-e-rehmat ke
Jo darbar-e-mu'ali mein kabhi bachashm-e-tar jaaun

Tumhare naam liwa bekhatar jatay hain Mahshar mein
Isharah ho agar mujhko to main bhi bekhatar jaaun

Tawajju un karam parwar nigahon ki jo hojaye
Mera imaan sanwar jaye main imaan se sanwar jaaun

Samajh kar koocha-e-jaan mein jannat mein chala aaya
Kooye-jaan to Taiba hai main jaaun to kidhar jaaun

Khalil ab zaad raah-e-aakhrat ki sa'ee ahsan mein
Madinay sir ke bal jaaun wahan pahunchoon to mar jaaun