Ilaahi Dikha De Jamaal-e-madina
Ilaahi Dikha De Jamaal-e-madina
Ilaahi dikha de jamaal-e-Madina
Karam se ho poora sawaal-e-Madina
Ataa kijiye haazri ki sa'adat
Inayat ho mujh ko visaale Madina
Dikha de mujhe sabz gunbad ke jalve
Dikha mujh ko dasht o jibaal-e-Madina
Pahunch kar Madine me ho jaaye Moula
Meri jaan fidaye jamaal-e-Madina
Mujhe "chal Madina" ka mujda suna do
Karam yashah-e-khush khisale Madina
Ho pyare Nabi! khatam lahzaat-e-furqat
Mu'yassar ho mujh ko visaale Madina
Gham-e-ishq-e-Sarwar Khudaya ataa kar
Mujhe az tufail-e-Bilaal-e-Madina
Khudaaye Muhammad hamare dilon se
Na nikle kabhi bhi khayal-e-Madina
Sada rahmaton ki barasti jhadi hai
Madine me ye hai kamaal-e-Madina
Mu'attar mu'attar hai sab se munawwar
Nahin do jahaan me misaal-e-Madina
Sabhi par rahay hain isi darse me bhi
Ho ummeedwaar-e-nawaale Madina
Qadam choom kar sar pe rakh lena Ataa'r
Nazar aaye agar naunehal-e-Madina