Ikraam-e-Nabi, Altaaf-e-Khuda, Subhan Allah Masha Allah
Ikraam-e-Nabi, Altaaf-e-Khuda, Subhan Allah Masha Allah
Ikraam-e-Nabi, altaaf-e-Khuda, Subhan Allah Masha Allah
Lab par hai Nabi ki naat sada Subhan Allah Masha Allah
Aflaak hon ya ho farsh-e-zameen, Sarkaar ke hain sab zer nageen
Hai zer-e-qadam arsh e aala Subhan Allah Masha Allah
Chaho to azal ke beemaaro, Tayyaba ke haseen zarray chun lo
Hai khaak-e-muqaddas khaak e shifa Subhan Allah Masha Allah
Aaqa ke tawassul ka sadqa, poora hua jo kuch chaha tha
Uthe bhi nahi the dast-e-dua Subhan Allah Masha Allah
Sarkaar pe zaahir hai har shey, Sarkaar ka sikka chalta hai
Az roz-e-azal ta roz-e-jaza Subhan Allah Masha Allah
Kasht-e-dil duniya weeraan thi, lagti theen zameen banjar saari
Bathaa se uthhi rehmat ki ghata Subhan Allah Masha Allah
Dil ne jo hadees-e-shauq kahi, jab naat hui lab par jaari
Waarfatgi hatif ne kaha, Subhan Allah Masha Allah
Ehsaas gunaahon ka le kar, haazir hai dar-e-Payambar par
Mahmood ye teri tab'e risa Subhan Allah Masha Allah