Ik Baar Phir Karam Shah-e-khair-ul-anam Ho
Ik Baar Phir Karam Shah-e-khair-ul-anam Ho
Ik baar phir karam shah-e-khair-ul-anam ho
Phir janib-e-Madina rawana ghulam ho
Phir jhoomta hua main chalun janib-e-Hijaz
Makkay mein subah ho to Madinay mein shaam ho
Paish-e-nazar ho gunbad-e-Khazra ki phir bahar
Ae kaash! phir Madinay mein mera qayam ho
Ho ana jana mera Madinay mein umar bhar
Aakhir mein zindagi ka wahin ikhtitam ho
Yun mujh ko maut aaye tumharay diyar mein
Chaukhat pe sar ho lab pe durood-o-salam ho
Yarab bacha le tu mujhe nar-e-jaheem se
Aulad par bhi balka Jahannam haram ho
Dewanay ro rahay hain Madinay ke wastay
Inki bhi hazri ka koi intizam ho
Dil ki murad pa gaya jo dar pe aagaya
Koi sabab nahi ke na mangtay ka kaam ho
Dushman ka zor barh chala hai Ya Ali madad!
Ab Zulfiqar-e-Haidari phir be-neyam ho
Bekar guftagu se meri jaan chhut jaye
Har waqt kaash! lab pe durood-o-salam ho
Ho jayein khatam kaash! gunahoon ki aadatein
Aisa karam ae Sayyed khair-ul-anam ho
Ahmed Raza ka sadqa Musalman naik hon
Naiki ki dawat aaqa jahan bhar mein aam ho
Aaqa! gham-e-Madina mein rona naseeb ho
Zikr-e-Madina lab pe mere subah-o-shaam ho
Ho rooh tere kadmon pe Attar ki nisaar
Jis waqt is ki umar ka labrez jaam ho