Huzoor ﷺ Meri To Sari Bahaar Aapﷺ Se Hai
Huzoor ﷺ Meri To Sari Bahaar Aapﷺ Se Hai
Huzoor ﷺ meri to sari bahaar aapﷺ se hai
Main beqaraar tha mera qaraar aap se hai
Kahan woh arz e Madinah kahan meri hasti
Yeh hazri ka sabab baar baar aap se hai
Siah kaar hoon aaqa badi nadamat hai
Qasam khuda ki yeh mera waqaar aap se hai
Meri to hasti hi kya hai meri gareeb nawaz
Jo mil raha hai mujhe saara pyaar aapﷺ se hai
Main is yaqeen se zinda hoon aap mere hain
Meri hayaat ka daromadaar aap se hai
Mohabbatoun ka sila aise kaun deta hai
Sunehri jaalion mein yaar e gharaar aap se hai