Kalams Page

Huzoor Aap Aaye To Dil Jagmagaye Warna La Charon Ka Kya Hal Hota

Poet: Ramzan Shakoori | Book: Unknown | Type: Naat

Huzoor Aap Aaye To Dil Jagmagaye Warna La Charon Ka Kya Hal Hota


HuzoOr aap aaye to dil jagmagaye warna la charon ka kya hal hota
Aseeron kaneezon pe kya kuch guzarti museebat ke maron ka kya hal hota

Aap aaye hain to yeh aain baharain har simt salliy ala ki pukaray
Jo maah Rabi-ul-Awwal na hota to phir in baharon ka kya hal hota

Sabhi ambiya hain salami ko aaye peechay kharay hain qataarain banaye
In sab mein agar kamli walay na hotay to laakhon hazaron ka kya hal hota

Adab se pukaray malaaik bhi saray ke tashreef laaye hain aaqa hamaray
Wo meraaj ki shab arsh par na jatay to chaand aur sitaron ka kya hal hota

Zameen khush falak khush hooro malak khush khaliq bhi khush hai sari khalq khush
Hoti na gar khush yeh sari khudai to rangeen nazaron ka kya hal hota

Mahshar mein hum sab hi ghabra gaye thay dozakh ki aatish se tharra gaye thay
HuzoOr aap gar na humein bakhshawate to hum gunaah garon ka kya hal hota

Hum pe shakoori yeh unka karam hai, unke karam se sab ka bharam hai
Wo garon mein ro ro duAain na karte to hum khata karon ka kya hal hota