Kalams Page

Hussain Sachai Hai Wafa Hai

Poet: Muzaffar Warisi | Book: Noor-e-Azal | Type: Manqabat

Hussain Sachai Hai Wafa Hai


Husain Sachai hai wafa hai
Siraat-e-Haq al-yaqin ka rahi
Ihaata khana elahi
Chirag deewar-e-Mustafa hai

Wo deen ka paikar maani
Rasool ki sharah zindagani
Mulukiyat ka ghaneem awal
Nizam jamoohriyat ka baani
Mureed hain inqilab us ke
Ginaoon kya kya khitaab us ke
Yaqeen hai sabr hai raza hai
Husain Sachai hai wafa hai

Khule imamat ke raaz us par
Paimbari ko bhi naaz us par
Wo munfarid sajda karne wala
Fida har ik ki namaz us par
Nigah walo baghor dekho
Kuch aur samjho kuch aur dekho
Bashar hai lekin khuda numa hai
Husain Sachai hai wafa hai

Wo ik ujala na mitne wala
Habib mahboob-e-Haq taala
Sabat Haq ko usi ke dam se
Azaan ka har bol usi se bala
Furat-e-Tauhid ke kinare
Kate hue jism ke sahare
Lahoo mein dooba hua khada hai
Husain Sachai hai wafa hai

Wo roye roshan wo chashm beena
Shahadat us ki sikhaye jeena
Jahalatoin ke talaatumon mein
Wo ilm o tahzeeb ka safeena
Hawa e taza mein baas us ki
Kabhi na murjhaaye pyaas us ki
Wo choudah so saal se hara hai
Husain Sachai hai wafa hai

Wo ik lughat-e-hadees-o-Quraan
Naseeb-e-iman nisaab-e-iman
Wo Toor-e-isaar ki tajalli
Wo istiqamat ka koh-e-faran
Abad se aage bhi us ka saya
Main us ke saaye mein dekh aaya
Qadeem ho kar bhi wo naya hai
Husain Sachai hai wafa hai

Tulu hotay hue soobaire
Lagayein us ki gali ke phaire
Fana ki raahon se bhi guzar kar
Baqa ki waadi mein us ke dair

Hayat ko us ke naam karna
Lahoo ko us ke salaam karna
Khiraaj hai ishq hai dua hai
Husain Sachai hai wafa hai

Chirag Boo Bakr ka ujala
Jihad-e-Farooq ka qareena
Ganaaye Usman ka Asaasa
Ali ki talwar ka nageena

Akeela bhi ek hujoom jaisa
Saraapa dar al-uloom jaisa
Safar hai manzil hai raasta hai
Husain Sachai hai wafa hai