Kalams Page

Hum Pe Ho Teri Rehmat Jam Jam,

Poet: Shorish Kashmiri | Book: Unknown | Type: Naat

Hum Pe Ho Teri Rehmat Jam Jam,


Hum pe ho teri rehmat jam jam,
Sallallahu ‘alayka wa sallam
Tere sana khwaan aalam aalam,
Sallallahu ‘alayka wa sallam

Hum hain tere naam ke lewa,
Ae dharti ke paani deewa
Yeh dharti hai barham barham,
Sallallahu ‘alayka wa sallam

Teri risalat aalam aalam,
Teri nabuwat khaatam khaatam
Teri jalalat parcham parcham,
Sallallahu ‘alayka wa sallam

Dekh teri ummat ki nabzein,
Doob chuki hain doob rahi hain
Dheere dheere madhham madhham,
Sallallahu ‘alayka wa sallam

Dekh sadaf se moti tapke,
Dekh haya ke saaghar chhalke
Sab ki aankhein parnam parnam,
Sallallahu ‘alayka wa sallam

Qarya qarya basti basti,
Dekh mujhe main dekh raha hoon
Noha noha maatam maatam,
Sallallahu ‘alayka wa sallam

Ae Aaqa, ae sab ke Aaqa,
Arz o samaa hain zakhmi zakhmi
In zakhmon par marham marham,
Sallallahu ‘alayka wa sallam