Hum Madeene Se Allah Kyun Aa Gaye
Hum Madeene Se Allah Kyun Aa Gaye
Hum Madeene se Allah kyun aa gaye qalb hairan ki taskeen wahi reh gayi
Dil wahi reh gaya jaan wahi reh gayi kham usi dar pe apni jabeen reh gayi
Yaad aate hain hum ko woh shaam o sehar woh sukoon-e-dil jaan o rooh o nazar
Yeh unhi ka karam hai unhi ki ata aik kifiat-e-dilnasheen reh gayi
Allah Allah wahan ka durood-o-salaam Allah Allah wahan ka sujood-o-qayam
Allah Allah wahan ka kaif-e-dawam woh salat-e-sukoon aafreen reh gayi
Jis jagah sajda rezi ki lazzat mili jis jagah har qadam un ki rehmat mili
Jis jagah noor rehta hai shaam o sehar woh falak reh gaya woh zameen reh gayi
Parh ke Nasrun Min Allahi Wa Fathun Qareeb hum rawan jab hue soye kooye Habeeb
Barkatein rehmatain saath chalne lagein bebasi zindagi ki yahin reh gayi
Zindagani wahin kaash! hoti basar kaash! Behzad aate na hum laut kar
Aur poori hui har tamanna magar yeh tamanna-e-qalb hazein reh gayi