Kalams Page

Hum Kholte Hain Raaz Keh Kis Se Hai Kya Muraad

Poet: Rashid Mehmood Raja | Book: Unknown | Type: Naat

Hum Kholte Hain Raaz Keh Kis Se Hai Kya Muraad


Hum kholte hain raaz keh kis se hai kya muraad
Naat-e-Rasool se hai sana-e-Khuda muraad

Maddahi Nabi ko kya jis ne ikhtiyar
Woh shakhs kaamgar hai, woh shakhs ba muraad

Allah ke karam ki hai ta'meem jis jagah
Aye dosto! hai us se Arab ki fiza muraad

Manzil nahin hai jis ki Madine ki sar zameen
La reeb rah-ro woh hai nakaam o naamuraad

Har cheez us ke zair-e-qadam hai jahan ki
Mange ga kya Huzoor ka madhat sara muraad

Zahir hua hai aayah Ma Nooteq se raaz
Hai guftah-e-Rasool se wahi-e-Khuda muraad

Mahmood apna deen hai ulfat Huzoor ki
Aaqa se hai waseela qurb-e-Khuda muraad