Kalams Page

Hum Khaak Hain Aur Khaak Hi Mawaa Hai Hamara

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Hum Khaak Hain Aur Khaak Hi Mawaa Hai Hamara


Hum khaak hain aur khaak hi mawaa hai hamara
Khaaki to woh aadam jad a'laa hai hamara

Allah humein khaak kare apni talab mein
Ye khaak to sarkar se tamgha hai hamara

Jis khaak pe rakhte the qadam sayyid-e-aalam
Us khaak pe qurbaan dil-e-sheida hai hamara

Kham ho gayi pusht-e-falak is ta'an-e-zameen se
Sun hum pe Madina hai woh rutba hai hamara

Is ne laqab-e-khaak shahenshah se paaya
Jo Haider-e-karrar ke maula hai hamara

Ae mad'diyo! khaak ko tum khaak na samjhe
Is khaak mein madfoon shah-e-batha hai hamara

Hai khaak se taameer mazaar-e-shah-e-kounain
Ma'moor is hi khaak se qibla hai hamara

Hum khaak urayenge jo woh khaak na payi
Aabaad Raza jis pe Madina hai hamara