Kalams Page

Hum Banawat Say Nahi Kehtay Ke Hum Teray Hain

Poet: Arsalan Ahmed Arsal | Book: Unknown | Type: Naat

Hum Banawat Say Nahi Kehtay Ke Hum Teray Hain


Hum banawat say nahi kehtay ke hum teray hain
Hum teray dar ki uthate hain qasam, teray hain

Choom kar jin ko milay kaif o suroor o masti
Kaisay taseer-i-rasa naqsh-i-qadam teray hain

Gham-i-duniya kabhi pehlay, na ab hoga kabhi
Shukr-i-ezad! ke meray seene mein gham teray hain

Hon Abu Bakr o Umar, ya ke hon Usman o Ali
Sayray tabinda yeh ashab-i-hasham teray hain

Khauf kya pyaas ki shiddat ka b roz-i-mahshar
Hum ke parwarda o asuda-i-yam teray hain

Tu gadayan-i-Muhammad ﷺ ka gada hai Arsal
Bas isi wastay duniya mein bharam teray hain