Kalams Page

Hui Zulm Ki Inteha Kamli Wale

Poet: Habib Jalib | Book: Unknown | Type: Naat

Hui Zulm Ki Inteha Kamli Wale


Hui zulm ki inteha kamli wale
Bacha kamli wale, bacha kamli wale

Ghariboon ki izzat khilona bani hai
Azal se amiroon ki gardan tani hai

Kiran koi choti nahi be kason ko
Jahan roshni hai wahin roshni hai

Naye chaand sooraj uga kamli wale
Bacha kamli wale, bacha kamli wale

Yahi aik feesad hain gheray khudai
Inhein ki badolat hai har jug hansaai

Tere naam par nafratein baantte hain
Duhai ghariboon ke rehbar duhai

Ghubaarn ke shar ka mita kamli wale
Bacha kamli wale, bacha kamli wale

Tujhi ko har ik zakham apna dikhaoon
Kisi muqtadar ka na ehsaan uthaoon

Madadgar tujh sa hua hai na hoga
Madad ke liye main tujhi ko bulaoon

Yahi aai dil se sada kamli wale
Bacha kamli wale, bacha kamli wale