Hudood-e-ta’ir-e-Sidrah, Huzoor Jaantay Hain
Hudood-e-ta’ir-e-Sidrah, Huzoor Jaantay Hain
Hudood-e-Ta’ir-e-Sidrah, Huzoor jaantay hain
Kahan hai Arsh-e-Mu‘alla, Huzoor jaantay hain
Har aik harf-e-tamana, Huzoor jaantay hain
Tamaam haal dilo ka, Huzoor jaantay hain
Khuda nay is liye Qasim inhein banaya hai
Ke baantne ka qareena Huzoorﷺ jaantay hain
Inhein khabar hai kahin se phr do durood un par
Tamaam dehr ka naqsha, Huzoor jaantay hain
Beroz-e-Hashr shafaat karein ge chun chun kar
Har aik ghulam ka chehra, Huzoor jaantay hain
Beroz-e-Hashr shafaat karein ge woh lekin
Agar hua ye aqiida, Huzoor jaantay hain
Pohonch ke Sidrah par Rooh-ul-Amin kehne lage
Yahan se aage ka rasta, Huzoor jaantay hain
Main mangta hoon inhi se, inhi se mangta hoon
Huzoor par bhrosa, Huzoor jaantay hain
Sikhaayi baat ye Sarwar humein Sahaba ne
Ke jaanta hai Khuda ya, Huzoor jaantay hain
Kahein ge Khald mein Sarwar, Nabi ke deewane
Zara woh naat sunana, Huzoor jaantay hain