Hua Hamd Khuda Mein Dil Jo Masroof Raqam Mera
Hua Hamd Khuda Mein Dil Jo Masroof Raqam Mera
Hua hamd khuda mein dil jo masroof raqam mera
Alif alhamd Rab al-alameen ka hai qalam mera
Rahe naam Muhammad lab pe ya Rab awwal o aakhir
Ulatt jaye bawqat naza'a jab seene mein dum mera
Muhabbat e Ahl-e-bait e Mustafa ki noor bar haq hai
Ke roshan ho gaya dil misl e qandeel e haram mera
Dikhai mujh ko raah e shar'a ashaab e paimber ne
Chiragh e raah hai Ikram ashaab e karam mera
Lahein Shah e Najaf ke ishq mein dil mera dooba tha
Ke hai Dar e Najaf ho kar chamakta dar e yam mera
Rahega daana afshaan mazra'a umeed e bakhshish mein
Gham e Aal e Nabi se daana har ashk e gham mera
Shah e Baghdad ka khat e ghulami zouq rakhta hun
Na kiya dil is khat e Baghdad se ho jaam e jam mera