Ho Karam Sarkaarﷺ Ab To Ho Gay Gham Bay Shumar
Ho Karam Sarkaarﷺ Ab To Ho Gay Gham Bay Shumar
Ho karam sarkaarﷺ ab to ho gay gham bay shumar
Jaan o dil tum pe fida ae do jahaan ke taajdaarﷺ
Main akela aur masail zindagi ke beshumar
Aap hi kuch kijye na! ae shah-e-aali waqaar
Ya Khuda dikhla Hateem paak meezab o maqaam
Aur safa marda mujhe behr Rasool zi waqaar
Yaad aata hai tawaaf khana-e-kaaba mujhe
Aur lipatna multazam se walehana baar baar
Ja raha hai qafla tayba nagar rota hua
Main raha jata hoon tanha ae Habib-e-kardigaarﷺ
Jald phir tum lo bula aur sabz gunbad do dikha
Hazri ki aarzu ne kar diya dil beqaraar
Gunbad-e-Khazra ke jalwe aur wo aftariya
Yaad aati hai bohot Ramzan tayba ki bahar
Ya Rasool Allah sun lije meri faryaad ko
Kaun hai jo ke sune tere siwa meri pukaar
Haal par mere karam ki ek nazar farmaye
Dil mera ghamgeen hai ae ghamzado ke gham gussar
Qaflay walo! Suno yaad aaye to mera salaam
Arz karta rote rote ho sake to baar baar
Ghamzada yun na hua hota Ubaid Qadri
Is baras bhi dekhta gar sabz gunbad ki bahar