Hisar Noor Mein Hoon Gulshan Tayyiba Mein Rehta Hoon
Hisar Noor Mein Hoon Gulshan Tayyiba Mein Rehta Hoon
Hisar Noor mein hoon Gulshan Tayyiba mein rehta hoon
Khushaa qismat ke main to jaluwa-e zeebaa mein rehta hoon
Shafaq phaili ho ya ho sobah ke anwaar ka manzar
Main be khud sa khayaal Sunnat-e-Aaqa mein rehta hoon
Meri sookhi hui kheti Khuda sar sabz kar de ga
Main roz o shab khayaal-e-gumbad-e-Khizra mein rehta hoon
Shaoor-e-zindagi paata hoon main dono n hisa-ro n se
Kabhi Batha mein rehta hoon, kabhi Tayyiba mein rehta hoon
Ita-rat ke jis gauhar tamnna hai meri har dam
Shafee’ul-muznibin ke zaufasha ayswah mein rehta hoon