Hayat Uswa-e-Sarkar Mein Agar Dhal Jaye
Hayat Uswa-e-Sarkar Mein Agar Dhal Jaye
Hayat uswa-e-sarkar mein agar dhal jaye
Har aik saans ke andar charagh sa jal jaye
Main rezah rezah hu tu usi ki yaad aayi
Jahan pohanch ke na koi bhi namukammal jaye
Tulu-e-subah ka manzar ho mere andar bhi
Saba jo rooh pe uska ghubar pamal jaye
Koi dukhi jo teh-e-dil se naam le uska
Pahaṛ apni jagah chor de balaa tal jaye
Gaya jo sheesha-e-aflaak se nazar ki tarah
Sada bhi uski abad ki taraf musalsal jaye
Woh dasht mein ho to ban jayein ungliyan lehrain
Jo dhoop mein woh chale uske sath badal jaye
Rahe labon pe hazaron duaoon ki yeh dua
Ke Hajj ko jaye Muzaffar bhi aur paidal jaye