Kalams Page

Haram Ki Azaan Haseen Allah Allah

Poet: Mazhar-ud-Din Mazhar | Book: Unknown | Type: Naat

Haram Ki Azaan Haseen Allah Allah


Haram ki azaan Haseen Allah Allah
Yeh naghme wachd aafreean Allah Allah

Makaan Allah Allah makeen zameen Allah Allah
Diyar Arab ki zameen Allah Allah

Yeh zarrat farsh zameen Allah Allah
Maqamaat rooh ul ameen Allah Allah

Har ik sajda mairaaj hai bandagi ki
Dar Syed ul mursaleen Allah Allah

Main aur saamna sarwar do jahan ka
Main aur Shah deen ke qareen Allah Allah

Yeh husn mukammal, yeh roza ke jali
Yeh parda, yeh parda nasheen Allah Allah

Faroogh rukh maah o anjum hai mazhar
Ghubaaar e reh Shah deen Allah Allah