Kalams Page

Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Hai

Poet: Professor Iqbal Azeem | Book: Zaboor-e-Haram | Type: Naat

Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Hai


Har waqt tasawwur mein madine ki gali hai
Ab darbadri hai na ghareeb ul-watani hai

Woh shama-e-haram jis se munawwar hai madina
Ka'be ki qasam ronaq-e-ka'ba bhi wohi hai

Is shehr mein bik jate hain khud aake kharidaar
Yeh misr ka bazar nahi ' shehr-e-nabi ﷺ hai

Is arz-e-muqaddas pe zara dekh ke chalna
Ae qaflay waalo yeh madine ki gali hai

Nazron ko jhukaye hue khamosh guzr jaao
Betaab nigahi bhi yahan be-adbi hai

Haq is ka ada sirf jabeenon se na hoga
Ae sajda guzaaro yeh dar-e-Mustafa ﷺ hai

Nazrana-e-jaan pesh karo halqa baghosho!
Yeh bargah-e-Hashmi o Mutalabi ﷺ hai

Iqbāl mein kis munh se karun madh-e-Muhammad ﷺ
Munh mera bohot chhota hai aur baat barri hai