Kalams Page

Har Subah Hai Noor-e-Rukh-e-Zebaaye Muhammadﷺ

Poet: Ehsan Danish | Book: Unknown | Type: Naat

Har Subah Hai Noor-e-rukh-e-zebaaye Muhammadﷺ


Har subah hai noor-e-rukh-e-zebaaye Muhammadﷺ
Har shaam hai gesu-e-dil aaraaye Muhammadﷺ

Japhti nahi nazron mein do aalam ki tajalli
Hai jab se tasawwur mein saraapaaye Muhammadﷺ

Aayine mein khud aayina gar bol raha hai
Jo hukm-e-Khuda hai wahi sanaaye Muhammadﷺ

Insaan ko agar tarbiyat-e-fikr o nazar ho
Phaili hui har simt hai duniyaa-e-Muhammadﷺ

Kantay mere talwon ke liye laala o gul hain
Gulshan hai mere waaste sehraaye Muhammadﷺ

Kab se dar-e-aqdas ko hain betaab nagahain
Kab se mere dil mein hai tamnaaye Muhammadﷺ

Daanish meri adab-e-mohabbat pe manzar hai
Qibla hai mera naqsh-e-kaf paaye Muhammadﷺ