Kalams Page

Har Roz Shab-e-Tanhai Mein Furqat Ka Junoon Tadpata Hai

Poet: Muhammad Ali Zahoori | Book: Unknown | Type: Naat

Har Roz Shab-e-Tanhai Mein Furqat Ka Junoon Tadpata Hai


Har roz shab-e-tanhai mein furqat ka junoon tadpata hai
Dil majboori par rota hai jab yaad Madina aata hai

Sajdon ki kamai aik taraf taiba ki gaddai aik taraf
Har cheez usse mil jati hai jo dar pe nabi ke jata hai

Ek ho k uthi mere seene se aaye paighaam Madine se
Chal uth sarkar ﷺ bulate hain khush bakht bulaya jata hai

Mera zarf kahan teri zaat kahan, meri fikr kahan teri baat kahan
Adna sa aik sana khwaan hun yahi nisbat hai yahi nata hai

Ho khair tere mekhane ki har maikash har paimane ki
Saqi teri mast nigahon se har paimana bhar jata hai

Teri madhat kaam Zahooree ka tere naam se naam Zahooree ka
Qarya qarya, basti basti jo teri naat sunata hai