Kalams Page

Har kisi Ko Ho Baqadar Zarf-e-irfan-e-rasool

Poet: Abdul Aziz Khalid | Book: Unknown | Type: Naat

Har kisi Ko Ho Baqadar Zarf-e-irfan-e-rasool


Har kisi ko ho baqadar zarf-e-irfan-e-Rasool
Kaun keh sakta hai kya hai hadd-e-imkaan Rasoolؐ

Sidrah tak hi par fashaanee kar sake roohul ameen
Qab qusain-e-aw adna tak hai joolaan-e-Rasoolؐ

Jitne pehle ke sahifay thay muharrif ho chuke
Lekin al-aan kamaa kaan hai Qur'an-e-Rasoolؐ

Lashkar-e-kuffar par jab bhi kare tera afgani
Rabb-e-Mursal ka bane paikan paikan Rasoolؐ

Ki talabgaari kabhi us ne na juz rizq-e-kifaf
Hain faqat tark o tawakkul saaz o samaan-e-Rasoolؐ

Waqf-e-hirman kar sakein us ko na aalaam-e-jahaan
Ho hoyda jis pe ramz-e-faqr o sultan-e-Rasoolؐ

Sakaan-e-dahr par be ikhtisas-e-khaas o aam
Waa war-e-rahmat, kashada baab-e-fayzan Rasoolؐ

Pur tabsum deedah-e-roshan pas-e-deedah magar
Fikr-e-ummat se rahe nam deedah, mizgaan-e-Rasoolؐ

Jaadah-e-sarchashma-e-haywaan munawwar un se hai
Hain chiraghan shab-e-zulmaat-e-yaraan Rasoolؐ

Yeh na thi qismat ke hum "As-haab" mein hotay magar
Hain bi hamdullah izaan-e-khail-e-ikhwaan-e-Rasoolؐ

Taa abad aabaad hai woh mir-e-aqwaam o umam
Taa qayam-e-yom-e-deen, qa'im hai aiwaan Rasoolؐ

Sar bakham ta'zeeman us ke saamne sab naat go
Kaun hai jo ho sake himtaye Hassaanؓ Rasoolؐ

Us se barh kar aye Muslimano! Sa'adat kaun si?
Hoon mere maan baap mere bachay qurbaan Rasoolؐ

Makr-e-nafs-e-ghool se mehfooz rakhta hai mujhe
Intibah-e-mushfiq-e-chashm-e-nigahbaan-e-Rasoolؐ

Main gadaaye khushah cheen-e-kharman-e-ilm-e-Nabi
"Man faqeer-e-ta'm khwaar reezah-e-khwaan-e-Rasoolؐ"

Haq jomadahi ka hai mujh se ada hota nahin
Go ba hadd-e-ista'taat hoon sanaa khwaan-e-Rasoolؐ

Main ke Khalidؔ naami ek ya woh saraye zhazhakha
Likh sakoon aye kaash harf-e-chand shayaan Rasoolؐ

Bakht yaawar ho tu shayad gaah mera bhi shumaar
Ho sake manjumla-e-khaddam-e-khasaan-e-Rasoolؐ