Har Dard Ki Dawa Hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Har Dard Ki Dawa Hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Har dard ki dawa hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Taweez har bala hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Mahboob-e-Kibriya hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Kya naqsh-e-khushnuma hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Qurb-e-Khuda ho hasil jannat mein ho woh daakhil
Jis ne likha parha hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Jannat maqam hoga dozakh haram hoga
Gar dil pe likh liya hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Us ki najaat hogi rehmat bhi saath hogi
Jo parh ke mar gaya hai Salla Ala Muhammad
Jo dard-e-la dawa ho yeh ghol kar pila do
Kya nuskha shifa hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Kaandha badalne waalo hamrah chalne waalo
Parhte chalo rawaan hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Jaane bhi de aram ko Rizwan na rokh hum ko
Seene pe likh liya hai Salla Ala Muhammad ﷺ
Manzil ka hai bharosa Akbar baghal mein tosha
Kya khoob le chala hai Salla Ala Muhammad ﷺ