Kalams Page

Har Aankh Mein Paida Hai Chamak Aur Tarah Ki

Poet: Sarwar Hussain Naqshbandi | Book: Unknown | Type: Naat

Har Aankh Mein Paida Hai Chamak Aur Tarah Ki


Har aankh mein paida hai chamak aur tarah ki
Hai gumbad e khazra ki jhalak aur tarah ki

Har aan khayalon mein hai is sheher ki thandak
Chalti hai jahan baad e khanak, aur tarah ki

Jhonka koi guzra hai madine ki hawa ka
Atraaf mein hai aaj mehak, aur tarah ki

Jab laut ke aate hain madine ke musafir
Hoti hai jabeenon pe chamak, aur tarah ki

Ashkon ki jo barsaat hui yaad e Nabi (SAW) mein
Phaili ufaq e jaan pe dhanak, aur tarah ki

Ye sarwar e Aalam ki ghulami ki ata hai
Rehti hai jo lehje mein khanak, aur tarah ki

Palkon pe jo roshan hai madine ke safar mein
Ye shama hai ae baam e falak aur tarah ki

Karta hoon mein jab madh e Muhammad (SAW) ka irada
Milti hai madine se kmak aur tarah ki

Sarwar ne suna hai yahi shaahan e sukhan se
Hai naat ke likhne mein jhjhak aur tarah ki