Kalams Page

Haqeeqat Mein Wo Lutf-e-zindagi Paaya Nahi Karte

Poet: Hamid Lucknavi | Book: Unknown | Type: Naat

Haqeeqat Mein Wo Lutf-e-zindagi Paaya Nahi Karte


Haqeeqat mein wo lutf-e-zindagi paaya nahi karte
Jo yaad Mustafa ﷺ se dil ko behlaaya nahi karte

Zubaan par shikwa ranj o alam laaya nahi karte
Nabi ﷺ ke naam lewa gham se ghabraaya nahi karte

Ye darbaar Muhammad ﷺ hai yahan milta hai bin maange
Aray nadaan yahan daaman ko phelaaya nahi karte

Ye lamha hai ke bas qurbaan ho ja in ki chaukhat par
Ye lamhe zindagi mein baar baar aaya nahi karte

Ye hai darbaar aaqa ﷺ ka yahan apno ka kya kehna
Yahan se haath khaali ghair bhi jaaya nahi karte