Kalams Page

Haq Nagar Aap Hain, Haq Numa Aap Hain

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Haq Nagar Aap Hain, Haq Numa Aap Hain


Haq nagar aap hain, haq numa aap hain
Mudai hai jahan, mud'a aap hain

Aap aaye jahan se jahalat uthi
Ilm o hikmat ka roshan diya aap hain

Aap ki zaat kamil hai har bab mein
Husn ki, ishq ki inteha aap hain

Khaliq o khalq ko roobaroo kar diya
Farsh se arsh ka rabita aap hain

Aap aaye na the baat banti na thi
Baat se baat ka silsila aap hain

Kijiye Anwar pe bhi ik nigah karam
Shafi roze mahshar jaza aap hain