Kalams Page

Hamesha Qarya-e-Ummi Laqab Mein Rehte Hain

Poet: Riaz Majeed | Book: Unknown | Type: Naat

Hamesha Qarya-e-Ummi Laqab Mein Rehte Hain


Hamesha qarya-e-ummi laqab mein rehte hain
Jahan kahin bhi hon had-e-adab mein rehte hain

Azal ke din se hain tere ghulam ibn-e-ghulam
Gharor-e-nisbat o fakhr-e-nasab mein rehte hain

Sawad-e-rooh mein sal-e-ala ki khushboo hai
Sana ke harf jo daaman-e-lab mein rehte hain

Gudaaz-e-naat, bashar dosti sikhata hai
Har aik shakhs se milte hain sab mein rehte hain

Nawazta hai woh shahriyat apne qarya ki
Ajam nizaad, dayar-e-arab mein rehte hain

Riyaz unko hi milta hai hazri ka sharaf
Jo un ki yaad, jo un ki talab mein rehte hain