Halqay Mein Rasoolon Ke Woh Mah-e-Madni Hai
Halqay Mein Rasoolon Ke Woh Mah-e-madni Hai
Halqay mein Rasoolon ke woh mah-e-Madni hai
Kya chaand ki tanveer sitaron mein chhni hai
Kehde mere Eisa se Madine mein yeh koi
Ab jaan pe beemar-e-muhabbat ke bani hai
Mehboob ko be dekhey huye laut rahe hain
Ashiqon mein kya rang-e-Owais-e-Qarni hai
Ghar se kahin acha hai Madine ka musafir
Yaan subah-e-watan shaam-e-ghareeb al-watni hai
Me'raj mein hooron ne jo dekha to yeh bolen
Kis nok palak ka yeh jawan-e-Madni hai
Ik umr se jalta hai magar jal nahi chukta
Kis shama ka parwana Owais-e-Qarni hai
Ashiqon se poochhe na gaye hashr mein aamaal
Kya bigri hui baat muhabbat se bani hai
Yaad Ahmad-e-Mukhtar ki hai Kaaba-e-dil mein
Makay mein ayaan jalwa-e-mah-e-Madni hai
Kis shauq se jaate hain Madine ke musafir
Mehboob watan se kahin yeh be-watni hai
Kehta hai musafir se yeh har nakhl-e-Madina
Aaram zara le lo yahaan chhaon ghni hai
Aaghosh-e-tasawwur mein bhi aana nahi mumkin
Hooron se bhi badh kar teri naazukbadni hai
Allah ke mehboob se hai ishq ka daawa
Bandon ka bhi kya hosla Allah ghani hai
Aankhon se tapakta hai meri rang-e-Owaisi
Jo lakht-e-jigar hai woh aqeeq-e-Yamani hai
Main us ke ghulamon mein hoon jo sab ka hai aqa
Sardar-e-rusul Sayyid-e-Makki Madni hai