Kalams Page

Hai Nishan-e-Azmat-e-Adam Nishan-e-bo Turab

Poet: Hafeez Taib | Book: As'habika An-Nujoom | Type: Manqabat

Hai Nishan-e-Azmat-e-Adam Nishan-e-bo Turab


hai nishan-e-azmat-e-adam nishan-e-bo turab
sun lab-e-ayyam se ezaaz o shan-e-bo turab

badr o khyber ki zameen ka zarra zarra aaj bhi
keh raha hai chupke chupke dastan-e-bo turab

gul aqeedat ke lutate hi rahain ge andleeb
lehla hata hi rahe ga gulistan-e-bo turab

taa abad jari rahe ga chashma-e-faiz-e-ali
aur peete hi rahe ge taliban-e-bo turab

manba-e-faqr o wilayat hai dar-e-sher-e-khuda
marja shah o gada hai aastan-e-bo turab

chashm-e-geeti ko woh manzar bhool sakta hi nahi
jis tarah loota falak ne kaarwan-e-bo turab

jaam kausar se rahe mehroom ho sakta nahi
taib khush bakht ke hai madah khuwan-e-bo turab