Kalams Page

Hai Nirale Josh Par Kuch Aaj Faizaan-e-Rasool ﷺ

Poet: Nayyar Hamidi | Book: Unknown | Type: Naat

Hai Nirale Josh Par Kuch Aaj Faizaan-e-Rasool ﷺ


hai nirale josh par kuch aaj faizaan-e-Rasool ﷺ
jholiyan bhar bhar kar le jaayein gadyan-e-Rasool ﷺ

hain ramooz-e-kun fa kaan aainah jin par mo bamo
marhaba kia hi haqeeqat been hain chashman-e-Rasool ﷺ

hain yad Allah foq aidihim ke gajre haath mein
hain muridan-e-Khuda saare muridan-e-Rasool ﷺ

roz-e-mahshar aftaab-e-hashr ho jab shola bar
saaya afgan ho siyah karon pe daman-e-Rasool ﷺ

sar nago ho mehr gardon wo hai un ki shama bazm
rashk khayein arsh o kursi wo hai ewaan-e-Rasool ﷺ

khufta bakhti tale b-y-dar ho jaye meri
khwaab mein gar dekh paoon mein shabistan-e-Rasool ﷺ

man raani qad ra-al-haq dekh lo aye zaahido
hai jamal-e-zaat-e-baari rou-e-taaban-e-Rasool ﷺ

aala Hazrat sidi Ahmed Raza ke faiz ne
kar diya hai mujh ko nayer manqabat khwan-e-Rasool ﷺ