Hai Lab-e-eisa Se Jaan Bakhshi Niraali Haath Mein
Hai Lab-e-eisa Se Jaan Bakhshi Niraali Haath Mein
Hai lab-e-Eisa se jaan bakhshi niraali haath mein
Sangrezay paate hain sheereen maqaali haath mein
Be-nawaon ki nigaahain hain kahaan tahreer dast
Reh gayeen jo paa ke jood-e-layzaali haath mein
Kya lakeeron mein yadullah khat sarwa aasa likha
Raah yun us raaz likhne ki nikaali haath mein
Jood-e-shah-e-Kosar apne pyaason ka juyya hai aap
Kya ajab udh kar jo aap aaye pyaali haath mein
Abr-e-Naisaan mominon ko teergh-uryaan kufr par
Jama hain shaan-e-jamaali wa jalaali haath mein
Maalik-e-kainaat hain go paas kuch rakhte nahi
Do jahaan ki na'imatein hain un ke khaali haath mein
Saaya afgan sar pe ho parcham-e-Ilahi jhoom kar
Jab liwa-ul-hamd le ummat ka wali haath mein
Har khat-e-kaf hai yahan aye dast-e-bizaaye Kaleem
Maojzan darya-e-noor-e-bemisaali haath mein
Wo garan sange qadr-e-mas wo arzani jood
Nouiya badla kiye sang o laali haath mein
Dastegeer-e-har do aalam kar diya sibtein ko
Aye main qurbaan jaan-e-jaan angusht kya li haath mein
Aah wo aalam ke aankhein band aur lab par durood
Waqf sang-e-dar jabin rauza ki jaali haath mein
Jis ne bai'at ki bahaar husn par qurbaan raha
Hain lakeerain naqsh taskheer-e-jamaali haath mein
Kaash ho jaoon lab-e-Kosar main yun warfata hosh
Le kar us jaan-e-karam ka zeil aali haath mein
Aankh mahw-e-jalwa-e-deedaar dil pur josh-e-wajd
Lab pe shukr-e-bakshish-e-saqi pyaali haath mein
Hashr mein kya kya maze warfatgi ke loon Raza
Loot jaoon paa ke wo daaman-e-aali haath mein