Kalams Page

Habeeb E Kibriya Ke Dohr Mein Tashreef Lanay Par

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Habeeb E Kibriya Ke Dohr Mein Tashreef Lanay Par


Habeeb e Kibriya ke dohr mein tashreef lanay par
Andheray chhat gaye anwar barse hain zamanay par

Shaoor aagahi bakhsha hai jin ki zaat e wala ne
Buta'n e dohr oondhay munh gire hain un ke anay par

Main aksar sochta hoon is ghari kya kefiyat hogi
Achanak jab main pahunchon ga Nabi ke aastane par

Parinday subah dum sal e Ali ka wird karte hain
To kiranen noor barsaati hain un ke aashiyanay par

Nazar ko mawarde dolat konain pata hoon
Jhuka hai jab se dil mukhtar e kul ke aastane par

Mere ghar mein qadam ranja hue mehboob e subhani
Yeh naemat maine payi ka'ba e dil ko sajaane par

Hameed! altaf ke gohar mujhe Sarkar ne bakhshay
Hadees e dard o gham ashkon ke lehjay mein sunanay par