Guzray Jis Raah Se Woh Sayyid-e-waala Ho Kar
Guzray Jis Raah Se Woh Sayyid-e-waala Ho Kar
Guzray jis raah se woh sayyid-e-waala ho kar
Reh gayi saari zameen anbar-e-saara ho kar
Rukh-e-anwar ki tajalli jo qamar ne dekhi
Reh gaya bosa dah-e-naqsh-e-kaf-e-paa ho kar
Waaye mehroomi-e-qismat keh main phir ab ki baras
Reh gaya hamrahi-e-zowwaar-e-madina ho kar
Chaman-e-taiba hai woh bagh keh murgh-e-sidra
Barson chehkay hain jahan bulbul-e-sheida ho kar
Sarsar-e-dasht-e-madina ka magar aaya khayaal
Rashk-e-gulshan jo bana ghuncha-e-dil waa ho kar
Gosh-e-sheh kehte hain faryaad-rasi ko hum hain
Wa’ada-e-chashm hai bakhsayenge goya ho kar
Paaye sheh par gire ya rab tapish-e-mehr se jab
Dil-e-baytaab urae hashr mein paara ho kar
Hai ye umeed Raza ko teri rehmat se sheha
Na ho zindani-e-dozakh tera banda ho kar