Gunah Gaaron Ko Hatef Se Naveed Khush Maali Hai
Gunah Gaaron Ko Hatef Se Naveed Khush Maali Hai
Gunah gaaron ko hatef se naveed khush maali hai
Mubarak ho shafa'at ke liye Ahmed sa waali hai
Qaza haq hai magar is shauq ka Allah waali hai
Jo un ki raah mein jaaye woh jaan Allah waali hai
Tera qad-e-mubarak gulban-e-rehmat ki daali hai
Ise bou kar tere Rab ne bana rehmat ki daali hai
Tumhari sharam se shaan-e-jalal haq tapakti hai
Kham-e-gardan hilaal-e-aasman-e-zuljalaali hai
Zahe khud gum jo gum hone pe ye dhoondhe ke kya paaya
Are jab tak ke paana hai jabhi tak hath khaali hai
Main ik mohtaaj be-waqat gada tere sag-e-dar ka
Teri sarkar wala hai tera darbaar aali hai
Teri bakhshish pasandi, uzr joi, tauba khahi se
Umoom-e-be-gunahi, jurm shaan-e-la ubali hai
Abu Bakr o Umar Usman o Haider jiske bulbul hain
Tera sarv-e-sahi is gulbun-e-khobi ki daali hai
Raza qismat hi khul jaaye jo Geelan se khitaab aaye
Ke tu adna sag-e-dargaah-e-khuddam-e-ma'ali hai